Friday, April 10, 2020

 परिंदो के पर कतरने से ,
उड़ते नही है वो।

महज उड़ान रुकती है,
सपने तो जहन में बसते ही होंगे।

manzilo tak akar bhi kya hasil hai mujhe....
kal bhi tanha thi...
aj bhi ird gird tanhai hai....

koi aaina nahi hai...
jo meri muskurahat ko sanjoye....
mujhe meri hasi se milaye...

nahi hai koi jo luta de....
bin kahe kuch ek chota pal mujh par...
In chote khubsurat pal me jee lu mai zara sa...

Aj bhi sochti hu....ki..
Kya kuch sach me badala hai....
Us beete kal me ya is har pal daudte AAJ me.....

Kano me gunjati Awaje badal gayi
Ankho me dikhate chehre badal gaye...
Jo sath chal rahe they unke raaste badal gaye......


Aaj bhi kuch nahi badala...
To..bus....
Meri jindagi k sawal....
Jinke jawab kahi nahi

mai aaina thi ....
uski najarein hi na dekh payi...
Uske ek un kahe sawal se bikar gai mai...

Meri har koshish par bhi shaq hai jise...
Mai us tak pahuchane ki khatir badhati ja rai....
Har rishte ko chod kar peeche ab khadi hu tanha si mai

Wo khush hai apne hi guman me...
Na samjha hai na samjhega....
Uski har galti k sath aj bhi khadi Hu mai....

Cheeje bikhaerna uski fitrat hai...
Har bar bikherta hai or mai khud ko jodti hu....
Ek din use ahsas hoga ki bikharne ko bhi kuch na bacha...
Bejan si ho gai hu mai

पंछी


o re mere man k panchi.....
mat bhag tu un rang birangi titaliyo k peche...
wo to man ko lalchati hai.....
jhoote hi bhatakati hai...

tu jitna chahe koshish kar le....
tere un tak pahuchanE se pahle
or kahi ud jayengi
hatho me ret si fisal jayengi....

kitni be-imani hai unme...
tu dayre mitane ki khatir sab bhul daud raha hai.
or ek wo hai pankho ko failaye....
ek alag hi jhund me udati ja rahi....


tu lakh jatan kar ....
dooriyan mitane ki ... daud laga
raftar badha.......kar le jo bhi ......
par unhe tera intajar kabhi nahi hota....

tu kyu ret k mahal ko ashiyana smajh....
Jindagi k khawab bunta hai....
wo titali is ashiyane me nahi.....
akash me hi pankho ko failayaengi.....

mere man thahar ja....
kitne paiband tu khud k ahsas par lagayega...
kitna tuta hai tu....
or kitna bikhraya jayega....

wo ujalo me basti hai....rango k sath...
tere berang se khawab .....udas jindagi......
ankho me basi har ki mayusi ....
use najar na ayegi......

o panchi .....
wo kya samjhegi tere dard ko .....
use udne do asman me .....
kabhi kabhi manjil pa kar bhi insan akela hi hota hai.......